Sarva Devata Aarti

Sarva Devata Aarti

Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare. Bhakt janon ke sankat, Daas janon ke sankat, Kshan me door kare, Om Jai Jagdish Hare.

Jo dhyave phal paave, Dukh bin se man ka, Swami dukh bin se man ka. Sukh sampati ghar aave, Sukh sampati ghar aave, Kasht mite tan ka, Om Jai Jagdish Hare.

Maat pita tum mere, Sharan gahun kiski, Swami sharan gahun kiski. Tum bin aur na dooja, Tum bin aur na dooja, Aas karun jiski, Om Jai Jagdish Hare.

Tum puran Parmatma, Tum Antaryami, Swami tum Antaryami. Par-Brahm Parmeshwar, Par-Brahm Parmeshwar, Tum sabke swami, Om Jai Jagdish Hare.

Tum karuna ke saagar, Tum paalan karta, Swami tum paalan karta. Main moorakh khal kaami, Main sevak tum swami, Kripa karo Bharta, Om Jai Jagdish Hare.

Tum ho ek agochar, Sabke pranpati, Swami sabke pranpati. Kis vidhi milun Dayamay, Kis vidhi milun Dayamay, Tumko main kumati, Om Jai Jagdish Hare.

Deenbandhu dukh harta, Thakur tum mere, Swami rakshak tum mere. Apne haath uthao, Apne sharan lagao, Dwar pada tere, Om Jai Jagdish Hare.

Vishay vikar mitao, Paap haro Deva, Swami paap haro Deva. Shraddha bhakti badhao, Shraddha bhakti badhao, Santan ki seva, Om Jai Jagdish Hare.